Page Nav

HIDE

Grid

GRID_STYLE

Grid

GRID_STYLE

Hover Effects

TRUE

Breaking News:

latest

Ads Place

How to create company in Tally ERP 9?

 Sabse pehle Aapko tally ERP 9 ko Download and install karna hai jiske liye aap How to download & Tally ERP9 dekh sakte hai Step 1- How ...

 Sabse pehle Aapko tally ERP 9 ko Download and install karna hai jiske liye aap How to download & Tally ERP9 dekh sakte hai

Step 1- How to open Tally

Tally ko Install kar lene ke baad desktop par aapko is  tarah ko Icon milega jispar simple 1 click karke apko Tally ko open kar lena hai


Pehli baaar jab Tally ko open karege to kuch is tarah ki window khulegi


Step 2 - Run Tally in Educational mode

Work in Educational mode par aake enter karna hai , Jiske liye keyboard mei W shortcut press karke enter kar sakte hai, usk baad mei aapko kuch is tarah se option milege , aapko create company par aake enter press karna hai ya phir aap keyboard mei C shortcut press karke bhi Create company option ko open kar sakta hai

Step 3- Insert company Information

Ab yaha par One by one aapko ek ek detail dalni hai ,yaad rakhiye agle option li taraf jane ke liye aapko keyboard me Enter ka use karna hai or pichle option mei aane ke liye Enter ke upar Jo Backspace hota hai uska use karna hai


Information required to Create company

1-Directory- Yaha par folder ki location aaygi , jaha par apki company ka data save hoga

2-Name- Jis bhi company ka kaam ap karoge uska naam aapko yaha type karna hai

3-Mailing Name- Yaha par automatic jo company ka naam ap likhoge voh he aayga

4- Address - Yaha par aapko Company ka full Address type karna hai

5-Country- Yaha par aapko Company ki countey ko choose karna aapke damne Countries ki list hogi usme direct India select karskte hai

6- State- Is tarah yaha par aapko Company ka state ko choose karna hai

7-Pincode- Apni city ka pincode type karna hai

8-Phone no- Agar company ka phone no hai toh wo dalna hai

9-Mobile no- Company ke mobile no hai toh woh dalna hai

10- Email- Company ko email address dalna hai

11- Website - Company ki ki website hai toh woh dalna hai

12-Financial year- Company ka financial year dalna hai, agar apko pata nhi hai ki Financial year kya hai toh What is financial year? par jaye

13 - Books begning from- same financial year jo hoga use yaha rehne de\

Toh aakhir tak hume ye sari information dalni hai, phir se bata deta hu aage jane ke liye Enter or piche jane ke liye Back space ka use karna hai, Sari information dalne ke baad aakhir tak aapko enter press karna hair phir last mei Accept kardena hai, aap jaise he enter press karege aapki company create hojaygi.


No comments

If you have any Doubt , Please let me know

Ads Place