Page Nav

HIDE

Grid

GRID_STYLE

Grid

GRID_STYLE

Hover Effects

TRUE

Breaking News:

latest

Ads Place

What is Ledger?

  What is Ledger Jaisa ki humne Pichle Chapter me Voucher ke bare me sikha tha Ki aisi prati ya Paper Jis Par kuch likha jata ho use vouche...

 

What is Ledger

Jaisa ki humne Pichle Chapter me Voucher ke bare me sikha tha Ki aisi prati ya Paper Jis Par kuch likha jata ho use voucher kehte hai.


Ab Phir se Purane jamane me Chalte hai Aur ek Voucher Uthate hai Jisme Jo Bhi Udhar maal Becha Jata hai Usko Likha Jata hai,


Maan lijiye ki Udhari ka ek voucher hai.


Ab us voucher ya Register me Rojana Hone Wali Udhar likh raha hu Kuch Is tarah se.


5000/- udhar maal becha 25/10/2019 ko
4500/- udhar maal becha 28/10/2019 ko
5200/- Udhar maal becha 14/11/2019 ko

Ab yaha par sawal ye hai ki mujhe kaise pata chalega ki ye jo maine udhar maal becha hai wo kisko becha hai.

Maine Is voucher me ye to likh diya ki Kab aur kitne rupye ka udhar maal becha lekin ye nahi likha ki kisko becha.

Ab yahi agar is voucher ki Heading me main Us vyakti ka naam likh du jisko maine ye udhar maal becha hai tab ye voucher complete hoga Jaise

Heading – Anwar Account

5000/- udhar maal becha 25/10/2019 ko
4500/- udhar maal becha 28/10/2019 ko
5200/- Udhar maal becha 14/11/2019 ko

yaha Upar maine Heading laga di aur us vyakti ka naam likh diya jisko maine udhar maal becha to ab main jab bhi heading dekhunga to mujhe pata chal jayega ki maine kisko, kab aur kitne rupye ka maal becha., yeh  ledger kehlata hai.

What is Ledger In Tally ERP 9

Isi Tarah tally ERP 9 me jab bhi kisi bhi voucher me Entry karte hai To khata kholna Padta hai Jise Tally Ki Language me kehte hai Ledger Create karna.

Ab Maan lijiye ki Mujhe Tally Me Ek Entry Karni hai.

Anwar Ko 25/10/2019 ko 5000 Rs. ka udhar Maal Becha.

Ab Tally ERP9 to Kisi Anwar ko Nahi Janta Ab yaha par aapko Anwar Ka ek Ledger Create Karna Padta hai Taki Anwar ke Naam se udhar maal ki entry ki Ja Sake.

Ab Tally ERP9 me kab aur kaha Par Ledger banaya Jata hai wo ham Aage sikhenge aur Jab Bhi Tally ERP9 me koi new Ledger Banaya Jata hai . Usee ek Group mei dala jata hai. What is Group? Ise hum next topic mei dekhte hai.


 



No comments

If you have any Doubt , Please let me know

Ads Place